A sincere salute to Ashiques, for they kept alive the flame of innocent love through ages,,,!!
Haqiqat se alag bhi ek sapno ki duniya hai,
Is chahal pahal se pare bhi ek sukun ki duniya hai.
Shaam si sheetal, nadiya si chanchal,
Khud me samayi hui si duniya hai.
Ye ashiqon ki duniya bhi,
Ek alag hi duniya hai.
Kabhi sawalo si uljhi, kabhi jawabon si suljhi,
Ek aboojh paheli si duniya hai.
Bachchhon si unmukt, vriddhon si bebas,
Meera ki si deewani ye duniya hai.
Ye ashiqon ki duniya bhi...
Milne ko tarasti, bichhadne se darti,
Shama sang jalte hue parwane si duniya hai.
Pal-pal jeeti, pal-pal marti,
Bistar pe karwatein badalti hui si duniya hai.
Ye ashiqon ki duniya bhi...
Pyar mila to basant me khilte hue phoolon si duniya hai,
Gar na mile, to patjhad me jharte hue patton si duniya hai.
Kabhi jashn ke izhar me hoti aatishbazi si duniya hai,
To kabhi doojon ki khushiyo ki khatir,
patakhon si khud ko jalati hui si duniya hai.
Ye ashiqon ki duniya bhi,
ek alag hi duniya hai...!!